Kabhi hamare sath chalkar
Kabhi hamare sath rehkar
Tum chale gaye achanak
Hamari zindagi badalkar
Tum the tow lagta tha ab na koi khwahish hogi.
Tum the tow lagta tha ab na koi farmaish hogi.
"Jaane khuda kyu rehemgir hai mujh par?
Ya mujhe tolne ki koi aazmaish hogi."
Phir hua bhi kuch yun hi, tum kho gaye jaane kidhar.
Jaane kaise ikk hui ye raah aur meri nazar.
Hum dekhte hi reh gaye aur aashiyaana jalta reh gaya
Bebas tow jaane kab se the, lo ho gaye ab beghar.
Yaado ke saaye tow sath hain mere har dam, har pal,
Katl karte hain mujhe, har ghadi ban mera kaatil.
Fir bhi jeeye jaa rahe hain hum issi ummeed mein
Aao shayad laut ke inn panaaho me phir tum kal.
Comments
Post a Comment